Best Wasif Ali Wasif Quotes in Urdu |
Best Wasif Ali Wasif Quotes in Urdu
Below are the best Quotes of Wasif Ali Wasif in Urdu
سوچنے والوں کی دنیا، دنیا والوں کی سوچ سے الگ ہوتی ہے۔
Sochne Walon ki dunia , dunia walon ki soch se alag hoti hai.
محبت دو روحوں کی نہ ختم ہونے والی باہمی پرواز ہے
Mohabat do roohon ki na khatam hone wali bahmi parwaz hai.
اصل ترقی یہ ہے کہ زندگی بھی آسان ہو اور موت بھی مشکل نہ رہے
Asal taraqi ye hai k zindagi bhi asan ho aur moat bhi mushkil na rahe.
جب موت سے پہلےموت کا مقام سمجھ آ جاے توموت کے بعد ملنے والے انعام موت سے پہلے ملنا شروع ہو جاتے ہیں
Jab maut se pehle maut ka maqam samajh A jay tu maut ke baad milne wale inam maut se pehle milna shru ho jate hain.
پریشانی حالات سے نہیں خیالات سے پیدا ہوتی ہے
Pareshani halaat se nahi khyalat se paida hoti hai.
سکون کے لیے ضروری ہے کہ یا تو خواہش کم کی جائے یا صلاحیت بڑھائی جائے
Sakoon k liye zaroori hai ke ya tou khawaish kam ki jaye ya salahiat barhai jaye.
اس دنیا میں انسان نہ کچھ کھوتا ہے نہ پاتا، وہ تو صرف آتا ہے اور جاتا ہے
Is dunia main insan na kuch khota hai na paata, wo tou sirf aata hai aur jata hai.
0 Comments